Wednesday 6 June 2012

Chahatein ye kaisi hain mujh me aapke liye,


Chahatein ye kaisi hain mujh me aapke liye,
na rona nasib na hansna nasib.
Kho jaata hun aapko dekh kar is kadar,
k sapne me bhi na sona nasib na jaagna nasib….

Jab dil tut ta hai toh aawaz nahi aati,
Muhabbat har kis ko raas nahi aati,
Ye to apni apni baat hai yaaro koi kisiko bhula nahi pata,
Aur kisi kisi ko yaad nahi aata…

Wo samjhe na samjhe hamare jazbaat ko,
Hum maanenge unki har baat ko,
Hum chale jaayenge ek din is duniya ko chodkar,
Wo aasuon se royenge har raat ko..



No comments:

Post a Comment