Friday 11 May 2012

Kadam thak gaye hai door niklna chod diya

Kadam thak gaye hai door niklna chod diya… par aisa nhi hai maine chalna chhod diya,
Fasle aksar mohobbat bada dete hai… par aisa nhi hai ki maine kareeb aana chhod diya,
Maine chirago se aksar  roshan ki sham… par aisa nhi hai ki maine dil jalana chhod diya,
Aaj bhi akele hai duniya ki bheed main … par aisa nhi hai ki maine zamana chhod diya,
Bhulna mushkil hai unko jante hai… par aisa nhi ki maine kisi ko yaad me lana chhod diya,
Haan dikh jati hai mayusi mere chehre par doston … par aisa nhi hai ki muskurana chhod diya.


No comments:

Post a Comment